गुरुवार, 26 मार्च 2009

e!!! meri kavita

sapno ko per de
chalne ki jmeen de
e!!!!meri kavita
chal tu chalti chal
umad ghumad man men
kuch aise jese
kokh me pran,
prandayi eeda ki
sukhad anubhuti me
jindagi jee lene de
use kasmsahat me
amrit pran ban
udghoshit ho mansakash me
rach de aisi rakhaon kibanavat
ve jo,
vicharo ko
de pukhta bhumi!!
KiRAN RAJPUROHIT NITILA

सोमवार, 16 मार्च 2009



SAVE HISTORICAL PLACES..

Website templates



मंगलवार, 3 मार्च 2009

Choo kar mere mann ko



Duniya  ka sabse bada rog
kya kahenge log.


Aadat par jaldi kaboo nahi paya jaye to vah lat ban jati hai.

Gulami or Aajadi har yug men samaj ke do ang rahe hai. jab nokar ke adhikaro ko nishedh kar diya jata hai to vah gulam ho jata hai.

Ameer ki taakat ki bhookh or gareeb ki roti ke dard ne krantiyo ko janam diya hai.

MY Photography


swagat

Aagman hai aaj kavi ka
ratri men uday ravi ka

ajir mere aaya vasant
praharsh hai chaya digant

didriksha poorn hui varsho men
amol chan hai sahasro men

darshan aaj huye sakshat
isi chan kar loo abhisat

ameelit chkshu aaj mere
bahate hai premaashru mere

aaj alabhya avsar aaya
kavivaro ka sang paya

sobhagya chan sadev aaye
akinchan yadi aashish paye----------------Kiran Nitila Rajpurohit

सोमवार, 2 मार्च 2009



KUMBHALGARDH ki tasveere


KUMBHALGARDH -----1433  isvi me bana kila ,jiski  charo or   36km lambi deevar hai  jo  China ki deewar ke bad 2 nd  hai. iske andar 300  Jain mandir or 60 Hindu mandir hai.MahaRana   Kumbha ne ese banaya .iske alwa 32 dusre durg bhi banye .     --------Kiran Rajpurohit Nitila

Mamatv ke prashan (KAVITA)

Jab aaye tum mere ank
jhoom uthe mere digant
adhmundi palkon men
mera naya avtar muskaya,
dekh tumhri pahli akulahat
machi chati men kulbulahat
ektak takte muje sakshat
pahchana
ye janam tab mene sarthk jana,
 amrit pan kiya jab tumne
us ghadi he ye janam jiya mene
tript smit musksn jab chai
mamatv bhari men borai
man hi man vari so bar
chuma tumhe hajaro bar,
prem sajeev ho muskaya
jashoda kee god kanha aaya
matritv se hui malamal
kondh uthe kai sawal
kitne baras rhega tumhara bachpan
nanhe kandhe par bhari basta
kitana kum kar skungi
bacha paungi saskrityo ki andhi dod se
banduko ki dhayn dhayn se????
galiyo ke khuni sannate ko cheer bigul bajaoge ya
juka sir vivash dekhoge
tum halat badloge ya
halat tumhe dhal denge
bheed me gum ho jaoge ya
ek aagivan dekhungi????????
kitane hi sadharn ban jana kintu
asadharan na bananaa
parivar, kul, des ka kumanush na kahlana!!!!!!!-----------Kiran Rajpurohit Nitila

रविवार, 1 मार्च 2009

bitiya (gazal)

pankhon ko jara  larja bitiya
bahar neela asma bitiya

mere arman tere dil men
ab khullee hava dikha bitiya

mosam adchane deta rhega
muskilon se na ghabra bitiya

aanchl bhar 2 asha or aaseeshe hai
karega teri raksha bitiya

ahankar usme ho kitna hee
tere dam se duniya bitiya

 dekh apni jade khod kar vo
itra rha hai kitna bitiya

betha ghat lagay sadiyo se
par tu bhee hai sabla bitiya-----------Kiran Rajpurohit Nitila