शुक्रवार, 24 अप्रैल 2009

Kavita

दिन

दिन भी कितने
अजीब होते है
कभी काटे नहीं कटते
कभी झट फुरर्र हो जाते
कभी उदास दिखते
कभी दिखते खुषी से सरोबार
कभी झाूमते आते
गुनगुनाते चले जाते
कभी प्रतीक्षा ही रहती
जैसे पेढ़ की डाली पर
मन्नत के रुमाल की तरह
अटक गये
कभी अचानक आकर ऐसे
टिक जाते जैसे
यही थे
नजर नही आये थे
धुंध से
छूकर थामना चाहो तो
सरकते रुठे बच्चे की तरह
और सरक सरक कर
तरसाते
हाथ पर हाथ धर बैठ जायें
तो तितली की भांति हौले से
आबैठते कंधें पर

किरण राजपुरोहित नितिला

बुधवार, 22 अप्रैल 2009


गुरुवार, 9 अप्रैल 2009

Kroor thapede

  Kroor   Thapede
  
samay  ke
 kroor  thapede
 swapn  mere
chuur kar  gai,
ur  ki peeda
uda  le jati
aisi  aandhi  
aai  na  koi,
bahut bhigoya
khare paani ne
gaalon   ko
man  ki tees ko
or  kureda  ,
 pighla  na saka
kisi  ke  harday  ko
sada geeli  rahi
aankho  ki kor,
dilasa diya  
door se hi  sabne
 kandhe par haath
 na  diya  kisi ne
 Kiran Rajpurohit Nitila

Coo kar mere man ko



Jo pehli  bar  rasta   banata   hai   use   sabse    jyada   kasht  hota      hai.

Accha   khana ,  accha   pehnana ,  sukh   se   rahna   hi   to  sukh  ki   paribha   to   nahi.

Purush   to   Kuraan   ki  baate   manege   hi   kyonki   usme  unko  hi   tavajjo   dee  gai   hai   lekin  ladkiya ?    stri hone   ka  matlab   yah  to   nahi   ki   vah  purush   se   heen  hai.


                                                 Tasleema  Nasreen


बुधवार, 8 अप्रैल 2009

-------
khud aage badhkar milne par man ka sannata tootta hai, samajikta badhti hai,
apni kamiya pata chalti hai.

Anuchit aalochna vastav me choopi hui  prashansa hoti hai.
  
Dushman ke prati nafrat ki aag ko  itni  tej  mat  rakho  ki  khud  usme  jal  jao.

Kathin kam  isliye  kathin  hote  kyonki  hum prayatn  nahi karte.



गुरुवार, 26 मार्च 2009

e!!! meri kavita

sapno ko per de
chalne ki jmeen de
e!!!!meri kavita
chal tu chalti chal
umad ghumad man men
kuch aise jese
kokh me pran,
prandayi eeda ki
sukhad anubhuti me
jindagi jee lene de
use kasmsahat me
amrit pran ban
udghoshit ho mansakash me
rach de aisi rakhaon kibanavat
ve jo,
vicharo ko
de pukhta bhumi!!
KiRAN RAJPUROHIT NITILA

सोमवार, 16 मार्च 2009



SAVE HISTORICAL PLACES..

Website templates



मंगलवार, 3 मार्च 2009

Choo kar mere mann ko



Duniya  ka sabse bada rog
kya kahenge log.


Aadat par jaldi kaboo nahi paya jaye to vah lat ban jati hai.

Gulami or Aajadi har yug men samaj ke do ang rahe hai. jab nokar ke adhikaro ko nishedh kar diya jata hai to vah gulam ho jata hai.

Ameer ki taakat ki bhookh or gareeb ki roti ke dard ne krantiyo ko janam diya hai.

MY Photography


swagat

Aagman hai aaj kavi ka
ratri men uday ravi ka

ajir mere aaya vasant
praharsh hai chaya digant

didriksha poorn hui varsho men
amol chan hai sahasro men

darshan aaj huye sakshat
isi chan kar loo abhisat

ameelit chkshu aaj mere
bahate hai premaashru mere

aaj alabhya avsar aaya
kavivaro ka sang paya

sobhagya chan sadev aaye
akinchan yadi aashish paye----------------Kiran Nitila Rajpurohit

सोमवार, 2 मार्च 2009



KUMBHALGARDH ki tasveere


KUMBHALGARDH -----1433  isvi me bana kila ,jiski  charo or   36km lambi deevar hai  jo  China ki deewar ke bad 2 nd  hai. iske andar 300  Jain mandir or 60 Hindu mandir hai.MahaRana   Kumbha ne ese banaya .iske alwa 32 dusre durg bhi banye .     --------Kiran Rajpurohit Nitila

Mamatv ke prashan (KAVITA)

Jab aaye tum mere ank
jhoom uthe mere digant
adhmundi palkon men
mera naya avtar muskaya,
dekh tumhri pahli akulahat
machi chati men kulbulahat
ektak takte muje sakshat
pahchana
ye janam tab mene sarthk jana,
 amrit pan kiya jab tumne
us ghadi he ye janam jiya mene
tript smit musksn jab chai
mamatv bhari men borai
man hi man vari so bar
chuma tumhe hajaro bar,
prem sajeev ho muskaya
jashoda kee god kanha aaya
matritv se hui malamal
kondh uthe kai sawal
kitne baras rhega tumhara bachpan
nanhe kandhe par bhari basta
kitana kum kar skungi
bacha paungi saskrityo ki andhi dod se
banduko ki dhayn dhayn se????
galiyo ke khuni sannate ko cheer bigul bajaoge ya
juka sir vivash dekhoge
tum halat badloge ya
halat tumhe dhal denge
bheed me gum ho jaoge ya
ek aagivan dekhungi????????
kitane hi sadharn ban jana kintu
asadharan na bananaa
parivar, kul, des ka kumanush na kahlana!!!!!!!-----------Kiran Rajpurohit Nitila

रविवार, 1 मार्च 2009

bitiya (gazal)

pankhon ko jara  larja bitiya
bahar neela asma bitiya

mere arman tere dil men
ab khullee hava dikha bitiya

mosam adchane deta rhega
muskilon se na ghabra bitiya

aanchl bhar 2 asha or aaseeshe hai
karega teri raksha bitiya

ahankar usme ho kitna hee
tere dam se duniya bitiya

 dekh apni jade khod kar vo
itra rha hai kitna bitiya

betha ghat lagay sadiyo se
par tu bhee hai sabla bitiya-----------Kiran Rajpurohit Nitila